Wednesday, December 30, 2009

"Aakhir Kyun???"

Kyun ye aasaman dikhta hai jhootha                         
Aur kyun ye dharti koi raag gaati nahi

Ye suraj roz ugta hai
Fir bhi kyun samay ki ye dhaara kuch batati nahi

Parinde to har roz yu hi chehka karte hain
Kyun fir bhi ye, koi sandesh laate nahi

Hawa roz hi sain sain karke baha karti hai
Kyun ye hamari baat un tak pahunchati nahin

Chaand chupke se yu hi raat ko nikalta to hai
Par kyun ye roshni se apni muzhe nehlata nahin

Yu to shaam savere woh nigaah, deedare haqiqat kartee hai mera
Par kyun, jane kyun, woh is chahat ka ikraar karte hi nahi

Par shayad ye mera hee fasana hai ai dost
Jo jindagi ki lehar, gun gunati hi nahin

Bas guzarish itni si hai yaaron
jara jhaank ke to dekho idhur udhar bhi
kahin ye reh guzar tumhari bhi to nahin!!






Note: Written by me. Revised by Kalpana

No comments:

Post a Comment