Thursday, December 10, 2009

Ek Dil

Dil aaj shayar hai, Keh lene do isko mann ki ye baat 
Poori karne do isko ye hakikat, bhale hi ho ye khayalat

Jaante hai ki iss samay bebas hai ye, utaarne do isko ye laachari iss gazal main
Kya bataye aapko, ki bichda tha ye, aise hee kisi nazam main
Shayad isi ka afsos hai, iske tan badan main

Hua tha kuch aisa iske saath, jo naa hona tha bas wahee kaha, jo saha isne din raat
par himmat naa haari isne, aur kehta gaya apne mann ki  baat
Khafa tha ye iss jindagaani se, fir bhi sunaata raha apni kahani ki har paat

Paagal hai naadan hai ye, aaj bhi karta hai unka intezaar
Kehta hai ke kisne jaana, ho unka deedar, umeed ke uss mod ke paar
Himmat to dekho, kehta hai, bichadne ko hum maja nahi kehte, haan par bichadke milne ko hum afwaah bhi nahi kehte

Abb kya kahe, tanha tanha maara firta hai ye
Bolta mujhse, ise nahi pata ki, iss gile ka kya hai antt
Dekho koi zara, aao koi madat ko, aur sunaao unko ye vratant

Samazh nahi aata hai ise, ki unko, bole patthardil ya mom ki tasveer
Ghamand to dekho zara iska, kehta hai –yahi hai meri taqdeer
Bechara gum sum sa baitha hai, aaj bhi issi bhaav main
Gar milna likha hai kismat main, to aayenge woh, khud se hee wapas isi gaaon main


Mujhe nahi pata ki kya hai iski taqdeer,
Bas itani see chahat hai, ki hai jo bhi koi samjho jaldi iski takleef
Ise nahi pata, ki kab tak ye kar paayega unka intezaar
Kahin aisa naa ho, ki reh jaaye woh aur ye malte hue haath
hota hai sirf khusnaseebo ko sacche pyaar ka ehsaas
jo naa samjha iss baat ko, tadapta reh gaya wahee iss nagme ke bhi baad

2 comments:

  1. read your blogs and shyari..its nice

    ReplyDelete
  2. Thank yo so much.......Specially I wanted to thank you for reading my blog....coz we don't know each other....still you went through it!!

    ReplyDelete