Wednesday, November 25, 2009

Masoom si ZINDAGI

Ek masoom si ZINDAGI ka,
bus itna sa fasana hai,

Kagaz ki haveli hai,
baarish ka zamana hai,

Kya shart-e-mohabbat hai,
kya shart-e-zamana hai,

Awaz bhi zakhmi hai,
aur woh geet bhi gaana hai,

Uss paar utarne ki
ummeed bahut kam hai,

Kashti bhi purani hai,
tufaan ko bhi aana hai,

Samjhe ya na samjhe
wo andaaz zindagani ka,

Ek khas shaks ko ankhon se
ek sher bhi sunana hai,

Bholi si ada,
koi phir ishq ki zid par hai,

Har taraf sirf aag ka dariya hai
aur doob ke jaana hai...

Har taraf sirf aag ka dariya hai
aur doob ke jaana hai...


Source: Some old notes

No comments:

Post a Comment