Thursday, April 29, 2010

Zara itna to bata do

Mujhmain hee baske mujhse hee kaunsi ye tasveer banwa rahe ho
Ye kaunsee chaal hai tumhari manjil tak pahuchane ki, jo itni der laga rahe ho
Zara itna to bata do O mere Sai

Pata nahi ki koi saza de rahe ho, yaa yun hi mushkilo se mera saamna kara rahe ho
Badhi huee uljhan ko tum aur uljha rahe ho, meri zameen ki chadar ko bhi kyun le jaa rahe ho
Zara itna to bata do O mere Sai

Sangharsh ke iss registaan mai, dhoop se mera kajal jala rahe ho, aankho main base iss samundar ko kyun sukha rahe ho
Jiss tarannum ko hum gungunana nahi chahate, kasak ki ussi darakht pe, humain kyun baar baar aazama rahe ho
Zara itna to bata do O mere Sai

Roj raat sitaaro ka kaarawaan dikhaake, Kal......kal aur kal kehke meri zindagi ke ye anmol pal kyun chura rahe ho
Aasha ke baandh pe chalti saanso ki lehar ko, tum aasamaan se bhi aage ka raasta kyun dikha rahe ho
Zara itna to bata do O mere Sai

Daldal main phasi kashti ko kinaare ka intezaar kara rahe ho, kyun uss bhujhate hue diye ka bharosa utha rahe ho
O mere Sai, zara itna to bata do ke…………….

1 comment:

  1. Really nice poem - u knw the art of putting together words

    ReplyDelete