Bhavanao ke samandar main, gote lagane ke liye galib hone ki jaroorat nahi hoti.
Dil par dastak dene wali aawaj ko hamesha, shabdo ki joorat nahi hoti
Sirf naadaan ko baar baar samjhana padta hai aye dost
Warna pyaar karne walo ko, jamaane ki naseehat ki jaroorat nahi hoti
Hum to tabaah ho gaye unke daastane ishq main aye shayar
Warna mohabbat karne walo ki, humain bhi, kabhi kami nahi hoti
Jaadu unke suroor ka tha kuch aisa bikhra aye mere maalik
Warna jindagee bitaane ke liye, humain bhi, unki jaroorat nahi hoti
Wah-Wah....kya khhob kahi hain apne (hope its ur own)
ReplyDeletethanks Kush.......huzoor har ek labz mera khud ka hai.....shayad main itna accha likhne lagee hoon ki logo ko shaq hone laga hai...good for me !!
ReplyDeleteMailka-e-shaayari...apki shayaari sarakho par. Apka yeh likha hua agar Gahalib le pad liya hota, to aaj Ghalib ka to pata nahi...aapka naam har ek ke shayaari mein zaroor hota :)
ReplyDelete